Saturday, January 9, 2010

Haai paisaaa...!!!

The poem tells the thinking of a young boy who is finding himself a complete misfit in this money driven and rapidly mechanising world. As a poet I had tried to dig out the vaccantness of love, life and simplicity in the present day world. We feel the need and are trying to ease our lives every day, by endless means derived of the human brain. But if we really look at the advancement so far in the history, I can see more of complications than ease. Well,that might be just one more perception but since I have had faith in simple living, here is a piece of expression by me. I hope you all will appreciate. Thanks!


Haai paisaaa...!!!
Jal mein jaise pratibimba ghul jaye,
sapnon mein jaise jeevan mil jaye,
aise hi mere sada se rehan par,
waqt ki gatisheelta bhari pad aayi hai.
paise aur kismat ki bhi lagi
mujhse purani koi ruswayi hai,
pehla hai jo kabhi tikta nahi,
aur duja nahi tikne deta hai.
Bhai-behnon ki kitabon mein,
main ab ek nikkami adat hun.
Aur pyari si meri maa ki ankhon mein,
asha ki khilafat hun.
Dekh mujhe kabhi tapakta,
babuji ki ankhon mein noor nahin.
Retro ke chashmon mein unke,
main hun ek khote sikke jaisa.
Haai paisa ye paisa kaisa.
Jeena bhi doobhar ho jaye,
jaise marna sa jeekar ho jaye.
Hath mein aye is sunehre panchi ko
main aksar fanaa kar deta hun.
Dosh lage mujhe ye
na dosh ke jaisa
Haai paisa ye paisa kaisa.

Suron se pehle bolon ki
mehangai sunai de jaye,
Nangi video mein remix ko bhi
bazaar dikhai de jaye,
Jahan call sasti karne ki
hod to sab mein ho,
par bhooke pet ko bharne ko
koi bin paise ke
jhoota bhi khana lata nahin hai.
Aag lage meri footi kismat ko
hath tumhare nahin tikta paisa,
-girlfriend bhi ye kehkar roti hai.
Aur sach kahun to bin paise ke,
kuch dikkat to mujhe bhi hoti hai.
Money may not be everything
but has the power to buy everything.
mere shubhchintak kehlanewale ye samjhate hain.
par is Sale-Purchase ki duniya mein sahab,
main hun bas ek MRP ki chippi jaisa.
Haai paisa ye paisa kaisa.
Insan ka bhi mol laga jaye.
Aur zindagi to jaise kahin
kataron mein peeche reh jaye.
Main hanskar is bazaar mein
oonchi boli mein bikta hun.
Jane kyun ab ye lagta hai, ae humnafaz

na kuch tere jaisa,
aur na ab kuch mere jaisa.
Haai paisa ye paisa kaisa....
Haai paisa ye paisa kaisa....


-Palok Singh

2 comments: