Saturday, April 3, 2010

Mujhme Rakha Kya Hai..

Well, after a really long time, I am posting again one of my poems. However this particular piece of write up has nothing to do with the meantime. It was just as spontaneous and immediate as any good poem.

The poem is about a guy who is proposed by a girl but he could not accept it. He had this strong feeling that he is not the guy for this girl, and this is what he is explaining to this girl. I was just discovering this situation, where I got this question in my mind...is he really not the right guy for this girl, because he cares, he is concerned and put in his energy to push her in a better world..???

Whats your take..??

..........

tera meri taqdeer mein rakha kya hai

dil khuda nahin mera, fir tera khwaab kya hai

kuch khaas nahin, bas chand tedi medhi

lakeerein hain hath mein mere

gehri hain bahut jaise pasre hain andhere

meri zameen pe khichi, to bat kya sab kuch

tera asmaan bat jaye jo to fir mila kya hai....

...........

bahut khoobsurat hote hain khwaab

tu ye gunah na karwa

pakeezah si khwahishon mein

mjhse daag na lagwa

teri farmaishon mein

meri nakami ka mulk na ban jaye

ki fateh hum na kar sakein ise

aur dard se daman na bhar jaye

........

mere is khyal ko kuch to tawazzo de

jirah nahin hai tujhse

bas ek darkhwaast samajh le

ki aur na aazma mujhe

main hun nahin shaqs wo wajib

chod bhi is sune shahar mein basa kya hai

tera meri taqdeer mein rakha kya hai...

-Palok Singh