Thursday, June 7, 2012

Jane kahan aise dost mile honge....

Haan mann bahut dukhi..bahut....na koi inspiration hain na koi motivation na koi objective...magar jeena hai....aur jeeyenge shauk se muskura ke...kyunki jeena hai....because boss... now you are into it you got to finish it smiling...haha....ye blog tha..jise ab likhte rehna na to ab zaruri lagta na mumkin....band karne ko aise hi band kar sakta tha....magar na mujhe gumnaam shuruwat pasand hai na hi gumnaam ant....to jaate jaate...thik se kahein to khatm karte karte...ek kavita....shayad aakhri kavita....hamesha lagta tha ki aakhri kavita bhi tumhare hi naam hogi...magar mera chapter 19 ka climax kuch aur hi hai....to unke liye jo kahin to rahe honge....wo dost...jo kahin... kahin to rahe honge....jane kahan mile honge....
Aur jinhone aaj tak meri kavitaein padhi, tareef ki kamiyan nikali...unko dhanywaad....aap sabhi bahut achhe the....jo zaruri na hone par bhi zehmat uthayi... shukriya....




tum main kahin to mile honge
ek hi mitti mein kahin to sane honge
chap chap paniyon se jeb bhare honge
baarish mein school se hum yunhi tare honge
dost hum kahin aise hi to bane honge


plastic ki ball ke paise county kiye honge
toss ke liye wrapper ke naam bhi chune honge
yaad hai jab chali jati thi pados ki chat par wo ball
ek duje ko dhakka maar ke kaise aage badhe honge
dost hum kahin aise hi to bane honge


charhari dopahari mein kitni hi patenge
thode se sadde mein jude kitne hi manje
ganthon walon apni dori se kaate kitne hi wo dor the
aaj bhi us khali asmaan mein kahin
wo khel dhoond rahe honge
dost hum kahin aise hi to bane honge



4 comments:

  1. ohhhhh !!!!!! Mast.... Awesome,,,
    I wish main neeche jahaan post a comment likha hai.... wahaaan change karke
    Post a Compliment kar sakta.....
    but dude....... This was the best poem of yours.... waise main saamne bhi tareef kar sakta hooooon..... Par phir koi aur nahin dekh paaayega na... teri tareeeef.....

    ReplyDelete
  2. hey what happened. Opening a website next or got a girlfriend .. Just keep writng, you write good of course.. Even if you dont want to share.. Ek jamane se kehana chahta tha kuchh magar, ki hath me sukhi kalam liye sehraon mein ghumta raha. Saaj jo kabhi seekhi thi bade shauk se..bus awaj ko her pathharon se puchhta raha...

    ReplyDelete
  3. awesome bhai bachpan ki yaad aa gyi

    ReplyDelete
  4. गहन,गंभीर अभिव्यक्ति .... कृपया मुझसे कॉन्टैक्ट करें rasprabha@gmail.com पर

    ReplyDelete