Aur jinhone aaj tak meri kavitaein padhi, tareef ki kamiyan nikali...unko dhanywaad....aap sabhi bahut achhe the....jo zaruri na hone par bhi zehmat uthayi... shukriya....
tum main kahin to mile honge
ek hi mitti mein kahin to sane honge
chap chap paniyon se jeb bhare honge
baarish mein school se hum yunhi tare honge
dost hum kahin aise hi to bane honge
plastic ki ball ke paise county kiye honge
toss ke liye wrapper ke naam bhi chune honge
yaad hai jab chali jati thi pados ki chat par wo ball
ek duje ko dhakka maar ke kaise aage badhe honge
dost hum kahin aise hi to bane honge
charhari dopahari mein kitni hi patenge
thode se sadde mein jude kitne hi manje
ganthon walon apni dori se kaate kitne hi wo dor the
aaj bhi us khali asmaan mein kahin
wo khel dhoond rahe honge
dost hum kahin aise hi to bane honge