Here is a ghazal where a human being in a human being's body, is talking to his god. He shows his worries and concerns towards the distance that man is raising every day, away from the god. I hope that it appeals!
Mandir masjidon mein bhi bhagwaan nahi milta
Ye ajeeb duniya ho gayi hai teri
Yahan teri meri zarurat ka samaan nahi milta.
-
-
Khuli dukaan hai aadmi, band dilon ke darwaaze
Aansuon ke bhaav par, milte khushiyon ke behlave
Ghut ghut ke mar leta hai aadmi, ab yahan shamshan nahi milta
Yahan teri meri zarurat ka samaan nahin milta.
-
-
Teri sikhayi seekhon ka, yahan sab remix banaya karte hain
Rishton ki dor se sab khoob pech ladaya karte hain
Yahan waqt itna kimti hai ki kisi ko waqt nahin milta
Yahan teri meri zarurat ka samaan nahin milta.
-
-
Rashq karega ab tu bhi kispar, yahan log ab tera ehsaan nahin mante
Khoob sajayi duniya mohabbat se tune, par log use ‘disorder’ se kuch alag nahi mante
Tere jazbaaton pe khud rona aata tujhe, par achha hai jo ab tu yahan nahin rehta
Yahan teri meri zarurat ka samaan nahin milta.
-Palok Singh